Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

best collection of poetry...

Go down

best collection of poetry... Empty best collection of poetry...

Post  Salman Fri Feb 01, 2008 1:07 am

mujhy manzilon sy aziz hain teri rahguzar ki musaftain
k likhi hain mery naseeb main abhi umer bher ki musaftain
isi aik pl ki talash main jisy log kehty hain zindgi
teri rahguzar main bikhar gai meri umer bher ki musaftain



Kash k aisa hota

Wo raat ko jab tanha hota,

Uski tanhai ka har pal bas mera hota

Wo din bhar ki sari batein yad se meri karta

Wo uljha uljha rehta ho or mujh ko sochta rehta ho

Jab yad use meri ati ho,

Lab par muskan theherti ho,

Or ankh se pani behta ho,

Raat ki khamoshi mai bhi,

Wo sansen meri sunta ho,

Mera chehra dhondta ho
,
Apne hath ki lakeeron mai,

Wo mera naam dhondta ho,

Har DUAA mai uski bas nam mera hota,

KKassh k aisa HOta

KKaassh k aisa Hota



Mizaaj hum se ziyaada juda na tha us ka
Jab apne yehi tour the to kya gila us ka

Wo apne zoum main tha bekhabar raha muj se
Usey gumaan bhi nahi main nahi raha us ka

Wo barq ro tha magar reh gaya kahan jaane
Ab intazar karen hum shikasta pa us ka

Chalo ye sail-e-bila khez hi bane apna
Safeena us ka,khuda us ka,na khuda us ka

Ye ahl-e-dard bhi kis ki dhuhai dete hain
Wo chup bhi ho to zamana hai hum nawa us ka

Hami ne tark-e-taluq main pehal ki ke Faraz
Wo chahta tha magar hosla na tha us ka



--------------------------------------------------------------------------------



Har lamha teri yaad ki khushbo hain mere pass,

Is shehar me tanha ho magar tu hain mere pass,

Jis shakal ko chahon teri soorat me badal doon,

ye husan_e_tasawar hai ke jado hain mere pass,

Rakhta hai sada jo mere raton ko mua'atar,

wo tere badan ka gul-e khushbo hain mere pass,

kya mujh ko pasand aa gaye is shehar ke naghme,

tu hain meri koyal teri koko hai mere pass,

kyon thamon ga mai janaa kisi aur ki banhe

jab chahon waise us ke nagar tak mujhe le jaye,

sochon ke chamakta hua jugno hai mere pass…!





--------------------------------------------------------------------------------

Bhigi ankhon se muskurane mein maza aur hai,
Hanste hanste palke bhigane mein maza aur hai,
Baat kehke to koi bhi samze,
Khamoshi ko koi samjhe to maza aur hai




Dekhi Jo Meri Nabz Tou Kuch Lamha Soch Kar,
Kaaghaz Liya Aur Ishq Ka Beemaar Likh Diyaa...
Salman
Salman

Posts : 46
Join date : 2008-01-14
Age : 36
Location : Pakistan

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum