deewana...
:: Poetry Section :: Poetry Section
Page 1 of 1
deewana...
mujhe deewana kahte ho ye tum achchha nahi kahte
samjhdar admi auron ko bhi aisa nahi kahte
samajh me aa nahi sakti kisi ke maslyhatt unki
mujhe apna samjhte hain par apna nahi sakte
woh phir barbad hi karde magar dil le to le mera
main har qimmat pe razi hon mujhe sauda nahi kahte
jo sach puchho to unse to hamare haq me ghair achche
bura bhi to nahi kahte agar achcha nahi kahte
abhi aaye abhi phir chal diye par khair aaye to
magar phir aise aane ko to hum aana nahi kahte
wafa karne main jiske aapko itna takulluf ho
na hone ke barabar hai ise wada nahi kahte
jo sakhti se kisi ki kham hui gardan ko kya hasil
ise hum kufr kahte hain ise sajda nahi kahte
unhi ke muh lagaane se badhi aghyar ki himmat
woh jab diwana kahte hain to woh kya-kya nahi kahte
apni kahan qismat ke ji yun hi zara khoosh hokar
samajhte to hain woh apna magar apna nahi kahte

Salman- Posts : 46
Join date : 2008-01-14
Age : 36
Location : Pakistan
:: Poetry Section :: Poetry Section
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|