Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

nazam...

Go down

nazam... Empty nazam...

Post  Salman Sun Feb 03, 2008 3:14 am

k jo apni mohabat thi
nasha tha woh jawani ka

khumar utra to yeh jana

mohabat yon nahe hoti

jo mai nai khuwab dekhay thay

ab in ki kirchiyan hi hain
or zakhmi paon hain meray

tumhara hum qadam rehna
mujhy mumkin nahe lagta

tumharay or meray darmiyan
koi dewar hai shayd

YEH hargiz gir nahe sakti
tumhain woh log pyary hain

jo mujhy ko zahar latgy hain
mujhy tum ab bhi pyaray ho

mager ab moor aisa hai
jahan itnay mukhalif hain

tumhain yeh to pata ho ga
mukhaluf simt chlnay say

kabhi manzil nahe milti
to phir kiyon waqt khootay ho
chaloo ab faisla karlo .....


--------------------------------------------------------------------------------
Humsafar koi bhi nahi ab tu
Chara gar koi bhi nahi ab tu

Yaar kitnay tahy achay waqton main
Han magar koi bhi nahi ab tu

Main nay dil ko teray hawalay kia
Mujh ko dar koi bhi nahi ab tu

Shahar main tera chahnay wala
Tah magar koi bhi nai ab tu

Dil ki sub narmyaan tamam howee
Chashm-e-tar koi bhi nahi ab tu

Zor war log bag hain laikin
Deeda-e- war koi bhi nahi ab tu
Salman
Salman

Posts : 46
Join date : 2008-01-14
Age : 36
Location : Pakistan

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum